Grandson to his Grandfather..


Pad kar apki nazm ko..
O pyare Dada Abbu!
Bad gaya hausla mera..
Jaag uthi hai meri rooh.

Nazm k alfaz khoob..
Kabil-e-tareef magar,
Kar gaya dil par asar..
"Aj ki Taaza Khabar".

Thi bohot si surkhiya..
Us din ke akhbar par,
Apko aayi pasand..
Naam tha mera jis par.

Jo khwab dekha apne..
Aur likha kagaz par,
Yu samaj lijiye ap k wo..
Dil par mere aya utar.

Is nazm ki tareekh par..
Thi meri do saal umar,
Us waqt se har pal gaya..
Us khwab ko jeete guzar.

Kar rahe the ap sabar..
Ab tak pure safar,
Hai Khuda ka lakh shukar..
Kar rahi duayein asar.

Mere mustaqbil ki roshni..
Apko door se aayi nazar,
Ye pota is kabil hua..
Science ki kitabein pad kar.

Na bana main doctor..
Ban gaya is qabil magar,
Science ke risalon mein..
Aata hai mera naam nazar.

Dast-bosi karoon apki..
Mila apse mujhe ye hunar,
Jis jagah bhi mai gaya..
Hai mili mujhko qadar.

Hai duayein Rab se meri..
Apko sehat mile,
Ta-umar hamare upar..
Apka saya rahe.

Comments

Popular posts from this blog