Posts

Showing posts with the label nazm

Maa

Image
Aisa gar koi shughal ho, jisme faraaghat na ho.. Kaho fir us shaghil ki ujrat kya ho? Taalib wo bas apne bachcho ki aafiyat ka ho.. Ek Maa se uchi shakhsiyat, wakai kya ho! Maa ki mohabbat se badi koi azmat nahi.. Maa ki duao se badkar koi hifaazat nahi.. Maa ki kadmo me jannat hai, ye faqat nahi, Maa ke aanchal se umda koi rafaaqat nahi. Khuda ka qurb chhupa hai, Maa ki qurbat mein.. Maa baap ki khidmat mein, unki itaa'at mein.. Kya ho gar khuda ki ye inaayat na ho? Khudaai to ho par, Khuda ki rehmat na ho? Aisa gar koi shughal ho, jisme faraaghat na ho.. Kaho fir us shaghil ki ujrat kya ho? Taalib wo bas apne bachcho ki aafiyat ka ho.. Ek Maa se uchi shakhsiyat, wakai kya ho! By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

KAASH...

Kaash wo lamha wahi tham jata, Jab apse hmari mulaqat hui thi. Kch kaha apne fir kch hmne btaya, Sunte sunate wo do baat hui thi. Kaash wo lamha wahi tham jaata, Jab apse hmari mulaqat hui thi. Fir milne ko apse wo dil ka machalna, Wo ghanton hmari baton ka chalna, Wo apko bulana aur intezaar karna, Ek baar aur fir kai baar krna. Is hi par fir apko shikayat hui thi, Kaash wo lamha wahi tham jata, Jab apse hmari mulaqat hui thi. Maani apki baat sirf apke khatir, Band krdi mulaqat sirf apke khatir. Ye jaan kr bhi k bandhan kamzor hoga, Qurbaan kr dia sath sirf apke khatir. Is hi aasre pr k aap yaad kroge, Bitaya har lamha apko yaad krke Jab dekha na mili koi khabar fir waha se, Smjha lia khud ko khud hi baat krke. Un guzre lamho ko yaadon me bsa kr, Tere tohfon ko apne dil me saja kr. Bargahe Khuda me hathon ko utha kr, Teri khushiyon k lie fir Ibadat ki thi. Kaash wo lamha wahi tham jata, Jab apse hmari mulaqat hui thi. Jab se suna k aap ho rahe praye. Dil najane q ye udas hai. Ek baa...

Ek sawaal..... La Jawaab...!!!

Ek baccha tha aur ek sher, Dur kahin ek bada sa ped... Use chherne bacche ne us par ek patthar mara, Gehri nind me so raha tha jaag gaya bechara... Jaan bachane ko wo baccha khub zor se bhaga, Uske peechhe sher para tha, abhi abhi tha jaga... Kisi tarah se jaan bachakar ped par wo ja baetha, Use charta dekh sher bhi ped ke neeche aa baetha... Usne ped par do kale aur sade chuhe dekhe, Milkar jo kaat rahe the daal ko baethe-bathe... Neeche sher ne gaddha khoda aur baeth gaya moo kholkar, Aisa lag raha tha jaise baetha hai koi soldier... Baccha wo bechara apne kie par pachtaya, Lekin wo chahkar bhi kuch nahi kar paya... Shahad ka chhatta dekh kar uska jee lalchaya, Lekar ungli bhar ke shahad jab usne khaya... Shahad ke maze me wo magan ho gaya is kadar, Haae.. wo ye bhul gaya, q aya tha wo ped par... Hum sab ka jeevan bhi kuch isi tara ka ho gaya hai, Duniya ki chamak mein har koi yahan kho gaya hai... Din aur raat humari jeevan ki daal ko kaat rahe hain, Jeevan ka har ek pal maut ki tar...