Maa


Aisa gar koi shughal ho, jisme faraaghat na ho..
Kaho fir us shaghil ki ujrat kya ho?
Taalib wo bas apne bachcho ki aafiyat ka ho..
Ek Maa se uchi shakhsiyat, wakai kya ho!

Maa ki mohabbat se badi koi azmat nahi..
Maa ki duao se badkar koi hifaazat nahi..
Maa ki kadmo me jannat hai, ye faqat nahi,
Maa ke aanchal se umda koi rafaaqat nahi.

Khuda ka qurb chhupa hai, Maa ki qurbat mein..
Maa baap ki khidmat mein, unki itaa'at mein..
Kya ho gar khuda ki ye inaayat na ho?
Khudaai to ho par, Khuda ki rehmat na ho?

Aisa gar koi shughal ho, jisme faraaghat na ho..
Kaho fir us shaghil ki ujrat kya ho?
Taalib wo bas apne bachcho ki aafiyat ka ho..
Ek Maa se uchi shakhsiyat, wakai kya ho!

By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

Comments

Popular posts from this blog