Ek chhat ke liye, meelon taiz aaftaab k tale.. Bhuke paet aur khali jaeb, wo paedal hi chale.. Chal chal kar jab thak jaate, to ruk jaate.. Na waahan, na saadhan, bas haath mal kar reh jaate.. Kahi se fir khabar aayi, ke ab rail dastyaab hai.. Wo mazdoor jo ab labraiz-e-iztiraab hai, Umeed ki ek kiran bhi usko naayaab hai.. Lekin kya pata tha, uski ye khushi bhi ek habaab hai. Manga gaya jab usse kiraya-e-safar.. Wo kabhi jholi khangale, kabhi dekhe idhar udhar.. Par wo muflis rawayatan, tha bakhabar.. Akheer me sirf uske, haath aata hai sifar.. Aaj surkhiyo me aayi ye pur-dard khabar.. Ke chad gayi ek rail us muflis ke upar.. Jise wo samajhta tha uska zarya-e-safar.. Wo zarya to tha, par ye tha aakhri safar.. Jis roti ki talaash me, uski zindagi afsurda thi.. Uski wo roti aaj, uske khoon se aalooda thi.. Uske jism ke sab hisse bikhre mile.. Uski phati hui jholi ke bhi chitthde mile.. Hai kiski ye jawab dehi, jo...