Tum khaas ho!
Tum khaas ho!
Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai..
Tum khaas ho!
Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna..
Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho..
Ke tum khaas ho!
Badnaami se beparwah raho, nakaami se na daro tum..
Na hiraas ho!
Muddai jise kahe ye adha khali hai..
Wo tumhare nukht-e-nazar, nisf bhara glass ho..
Tum khaas ho!
Tum khaas ho!
Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai..
Tum khaas ho!
Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna..
Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho..
Ke tum khaas ho!
To kya hua, gar chook gae kuch nishane tum..
Mat udaas ho!
Markaz-e-hadaf chhune ki jadd-o-jahad rahe..
Kuch itni shadeed tumhari pyaas ho..
Tum khaas ho!
Tum khaas ho!
Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai..
Tum khaas ho!
Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna..
Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho..
Ke tum khaas ho!
Jeetne ka aisa junoon ho, ke sab ko tumse umeed ho..
Ek aas ho..
Tumhari jeet par sab fakhr karein, aur ho jo mutasir bhi..
Mat pucho, fir us jeet ki kya mithaas ho..
Tum khaas ho!
Tum khaas ho!
Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai..
Tum khaas ho!
Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna..
Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho..
Ke tum khaas ho!
Kaamiyabi hi khushiyon ki kunjii hai..
Kabhi na aisa qayaas ho!
Kuch jinke paas chhat nahi, khush hain..
Banisbat unke, zar-o-zameen jinke paas ho..
Tum khaas ho!
Tum khaas ho!
Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai..
Tum khaas ho!
Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna..
Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho..
Ke tum khaas ho!
- Ajmal Fawad
Markaz-e-hadaf = Centre of the Target
Jadd-o-jahad = Struggle
Shadeed = Extreme
Nukht-e-nazar = Point of view
Nisf = Half
Comments