Posts

Showing posts from 2008

A Tribute.....

Only words would not be enough to express my devotion, To them, whom I credit for giving me a strong foundation. So I bow in respect, if not words are worth a tribute, A salute would surely convey my deep-rooted gratitude. I acknowledge that they are the one who taught me to think, And stopped me from flying too high when I could have burnt my wings. They are the one who showed me the righ path to follow, And filled my life with goodness which is otherwise hollow. They have enlightened my life with knowledge and understanding, Their concern is reflected in their beating and scolding. Their incompatible efforts, to send us to the heights of success, And to fill our life with various colours of happiness. Are unforgettable and are kept in my heart as they have no substitute, So I would like to thank them, for all that they did for me, to my life they contribute.

Ek sawaal..... La Jawaab...!!!

Ek baccha tha aur ek sher, Dur kahin ek bada sa ped... Use chherne bacche ne us par ek patthar mara, Gehri nind me so raha tha jaag gaya bechara... Jaan bachane ko wo baccha khub zor se bhaga, Uske peechhe sher para tha, abhi abhi tha jaga... Kisi tarah se jaan bachakar ped par wo ja baetha, Use charta dekh sher bhi ped ke neeche aa baetha... Usne ped par do kale aur sade chuhe dekhe, Milkar jo kaat rahe the daal ko baethe-bathe... Neeche sher ne gaddha khoda aur baeth gaya moo kholkar, Aisa lag raha tha jaise baetha hai koi soldier... Baccha wo bechara apne kie par pachtaya, Lekin wo chahkar bhi kuch nahi kar paya... Shahad ka chhatta dekh kar uska jee lalchaya, Lekar ungli bhar ke shahad jab usne khaya... Shahad ke maze me wo magan ho gaya is kadar, Haae.. wo ye bhul gaya, q aya tha wo ped par... Hum sab ka jeevan bhi kuch isi tara ka ho gaya hai, Duniya ki chamak mein har koi yahan kho gaya hai... Din aur raat humari jeevan ki daal ko kaat rahe hain, Jeevan ka har ek pal maut ki tar

Dua.....

Apne tasawur me teri tasveer kheech kar..... Maangi hai dua rab se maine aankhon ko meech kar... Ya rab... Khushian dena use dono jahaan mein... Chahe iske badle tu mujhe ghamon ke beech kar.

Anything 4 u.....

Apni har khushi ko tere naam kar du... Hotho ki hasi ko bhi qurbaan kar du... Agar aajae koi mauka aisa... To is bekaar jism ko bhi bejaan kar du... Kar du main apni saanso ko mushkil... Par teri har mushkil ko aasaan kar du... Agar aajae koi mauka aisa... To is bekaar jism ko bhi bejaan kar du...

Apna Khyal Rakhna.....

Main khushnasib hu ki mujhe tumara sath mila..... Kuch pal ke lie hi, har pal khush haal mila..... Tumare hotho pe hamesha muskurahat rahe..... Tumara khyal rakhke mujhe tumara khyal mila.

Tareef Us Khuda Ki.....

Tamaam darakht ban jayein kalam, sab samundar roshnai... Sare farishte saath milkar karne lagein likhai... Kam pad jaenge auzaar sare, par kam na hogi badaai... Tareef us khuda ki, jiski hai ye khudai...

Life... is a journey...!!!

Waqt ke saath chalne ka naam hi zindagi hai shayad... Har mod pe ek nae safar ki shuruat hoti hai... Hum jaise kai musafir mil jaenge lekin... Kuchh hi humsafar mulaqat hoti hai.

Drops... not to drop...!!!

In keemti motiyon ko yu na zaya karo... Apne aakhon se aasoo na bahaya karo... Apne palkhon me kaid kar muskraya karo... Khushiyon se zindagi sajaya karo...

Man Tu Talabaat...

Meri aadat hai, ki main muskurata rehta hu... Koi dukh ho ya gham, gungunata rehta hu... Teri yaadon ne mujhe majboor kar dia... Main na chahte hue bhi tujhe chahta rehta hu.

Just 4 u........

Socha tumare bare mein raat bhar humne... Jab tak jage rahe, khyalon mein khoe rahe... Kab nind ne humari aankhon ko band kiya... Dekhe tumare sapne, jab tak hum soe rahe.