Posts

Showing posts from 2020

Sabr

Image

Naa-fahm

Image

Quran

Image

Qudrat

Image

Aaina

Image

Naya Aagaaz

Image

Nazariya

Image

Parvaaz

Image

Dars-e-ibrat

Image

Meri Shayari

Man ke shor ko lafzon mein panaah deta hoon.. Kuch is tarah, main shayari banaa leta hoon..

Na-tawaan

Image

Zor-e-Zubaan

Image

Hue wo Ru-ba-ru

Image

Subah-bakhair

Image

Dost-yaar

Image

Sharaar

Image

Talab wa Ta'alluq

Image

Corona-times 3

Image

Corona-times 2

Image

Dar-guzar

Image

Be the light..

Roshni phaelane ka koi zariyaa ban jao.. Ek shamaa ban jao, ya ek aainaa ban jao..

Hasratein

Image

Khud-kifaalat

Image

Sayyaara-e-Zindagi

Image

Pasand

Image

Qaus-e-Quzah

Image

Sayyaara-e-Zindagi

Image

Corona-times

Image

Baarish

Image

Wah Fawad!

Lafzon ko jod ke qaafiye mila lena, sab is fan ko qaabil-e-daad kehte hain.. Jo rakhte hain dilchaspii thodi bhi shayari mein,  har radiif par wah-Fawad kehte hain..

Tum khaas ho!

Image
Tum khaas ho! Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai.. Tum khaas ho! Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna.. Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho.. Ke tum khaas ho! Badnaami se beparwah raho, nakaami se na daro tum.. Na hiraas ho! Muddai jise kahe ye adha khali hai.. Wo tumhare nukht-e-nazar, nisf bhara glass ho.. Tum khaas ho! Tum khaas ho! Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai.. Tum khaas ho! Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna.. Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho.. Ke tum khaas ho! To kya hua, gar chook gae kuch nishane tum.. Mat udaas ho! Markaz-e-hadaf chhune ki jadd-o-jahad rahe.. Kuch itni shadeed tumhari pyaas ho.. Tum khaas ho! Tum khaas ho! Tum mein hunar hai, wo qabiliyat hai.. Tum khaas ho! Hai laazmi, khud par yaqeen rakhna.. Aur zaroori, ke tumhe ehsaas ho.. Ke tum khaas ho! Jeetne ka aisa junoon ho, ke sab ko tumse umeed ho.. Ek aas ho.. Tumhari jeet par sab fakhr karein, aur ho jo mutasir bhi.. Mat pucho, fir us jeet ki kya mithaas ho.. Tum khaas ho! Tum khaas ho! Tum mein...

Mere Papa..

Image

Safar

Image

Ek Khwaab!

Image

Eid 2020

Image
Aaj ki subah ne dekha, ek alag khursheed hai.. Na koi raunak dikhi, na farokh-o-khareed hai.. Wo jo qaabil-e-deed the, aaj bas hasrat-e-deed hai.. Na dawatein, na tohfe, ye kaisi Eid hai? By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

Qun - Faya Qun

Ek waba chali aur sab kaar-o-baar bigaad gayi.. Ek hawa chali aur sab ghar baar ujaad gayi.. Khuda ke ek 'Qun' pe, saari duniya fanaa hai.. Fir bhi hume is shai-e-faani pe kyu anaa hai? By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

Kitne Sifar Hain?

Image
Mushkil mein huqumat ka ye intezam-e-basar hai.. Tajir-o-kisano ke lie qarz mayassar hai.. Beghar mazdooro ko lekin, ab bhi ye fikar hai.. Paet bharne ke lie miqdaar ye, bohot mukhtasar hai.. Pucha kisi ne isme, kitna milne ki imkaan hai? Kaha 20 lakh crore mein, ginlo kitne sifar hai! By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

Lockdown 4.0

Image
Higher economic stimulus and increased tests, since the very start, was of importance utmost. But what took a period of 2 months, should have been brought foremost. What was the wait for? Was the wait for the numbers to soar? It should have been a structured lockdown-1, what is going to be a redesigned lockdown-4. Many businesses wouldn't have suffered, we could have saved millions job-loss. Above all, our mission towards a 5 trillion GDP, wouldn't have gone for a toss. Why can't we be proactive? Why do we need to make mistakes, to learn from? Relaxing the restrictions, as the numbers increase? This is not the norm! #PMModi #PMat8PM #Lockdown4.0

Maa

Image
Aisa gar koi shughal ho, jisme faraaghat na ho.. Kaho fir us shaghil ki ujrat kya ho? Taalib wo bas apne bachcho ki aafiyat ka ho.. Ek Maa se uchi shakhsiyat, wakai kya ho! Maa ki mohabbat se badi koi azmat nahi.. Maa ki duao se badkar koi hifaazat nahi.. Maa ki kadmo me jannat hai, ye faqat nahi, Maa ke aanchal se umda koi rafaaqat nahi. Khuda ka qurb chhupa hai, Maa ki qurbat mein.. Maa baap ki khidmat mein, unki itaa'at mein.. Kya ho gar khuda ki ye inaayat na ho? Khudaai to ho par, Khuda ki rehmat na ho? Aisa gar koi shughal ho, jisme faraaghat na ho.. Kaho fir us shaghil ki ujrat kya ho? Taalib wo bas apne bachcho ki aafiyat ka ho.. Ek Maa se uchi shakhsiyat, wakai kya ho! By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

Hunar

Itne motiyo mein, ek ye bhi gauhar paya.. Maine apne Abba se, shayari ka hunar paya. By Fawad @Falsafa-e-Fawad 

Is naye Hindustan me, aisa kya naya hua?

Image
Ek chhat ke liye, meelon taiz aaftaab k tale.. Bhuke paet aur khali jaeb, wo paedal hi chale.. Chal chal kar jab thak jaate, to ruk jaate.. Na waahan, na saadhan, bas haath mal kar reh jaate.. Kahi se fir khabar aayi, ke ab rail dastyaab hai.. Wo mazdoor jo ab labraiz-e-iztiraab hai,  Umeed ki ek kiran bhi usko naayaab hai.. Lekin kya pata tha, uski ye khushi bhi ek habaab hai. Manga gaya jab usse kiraya-e-safar.. Wo kabhi jholi khangale, kabhi dekhe idhar udhar.. Par wo muflis rawayatan, tha bakhabar.. Akheer me sirf uske, haath aata hai sifar.. Aaj surkhiyo me aayi ye pur-dard khabar.. Ke chad gayi ek rail us muflis ke upar.. Jise wo samajhta tha uska zarya-e-safar.. Wo zarya to tha, par ye tha aakhri safar.. Jis roti ki talaash me, uski zindagi afsurda thi.. Uski wo roti aaj, uske khoon se aalooda thi.. Uske jism ke sab hisse bikhre mile.. Uski phati hui jholi ke bhi chitthde mile.. Hai kiski ye jawab dehi, jo...

Patthar ya Qalam?

Image
Patthar uthane wale haath, kaash qalam utha lete.. Besharmo apni aakho me, kuch to sharam bacha lete.. Jis Quran se hamne pehla lafz 'padho' hai seekha.. Us Quran ko hi kaash tum, apna muqaddam bana lete.. Apni seerat ki tarah, apni soorat bhi khoob hoti.. Humare humwatano ko bhi hamari izzat mehboob hoti.. Yu nateeja na hota, ye badhaali na hoti.. Humse muflisi afsurda hoti, ye ghurbat sada ghuroob hoti..